Kabhi dil ko kabhi samako jalake roye,
Raat ke godh mein soo gaye jab sari duniya,
Toh chand ko teri tasvir banake roye…
*
*
Kya hoon main aur kya samajhte hai,
Sab raaz nahi hote batane wale,
Kabhi tanhaiyo mein aakar dekhna,
Kaise rote hai sabko hasane wale.
*
*
Zindagi hamesha kuchh naya dikhayegi
Kabhi hasengi to kabhi rulayegi
Is par bharosa mat karna
Ye zindagi hai na jane kis mod pe akela chhod jayegi..
*
*
Ansuo ko bahut samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
iss par ansu tadap kar bole,
itne logo me aapko tanha pate hai,
is liye chale aate hai….
*
*
Log milte hai aur phir ek dusre ke kareeb aate hai.
Aur kareeb aakar aksar juda ho jate?
Agar juda hona hi hai toh log milte kyu hai?