To sign my guestbook, you need to signin first. | |
1stFairy GuestbookAmeensadik (11 years ago) Be-qaraari si be-qaraari hai Wasl hai aur firaaq taari hai Jo guzaari na ja saki hum se Hum ne woh zindagi guzaari hai Us se kahiyo K dil ki galioN meN Raat din teri intezaari hai Ik mehak samt-E-jaaN se aayi thi MaiN yeh samjha teri sawaari hai Haad-soN ka hisab hai apna Warna har aan sab ki baari hai Bin tumhare kabhi nahiN aayi Kya meri neeNd bhi tumhari hai Nig-habaaN kya hue K logoN par apna saaya bhi ab to bhaari hai Khush rahe tu ke zindagi apni Umr bhar ki ummeed waari hai Aap meN kaisay aauN maiN tujh bin SaaNs jo chal rahi hai aari hai Hijr ho ya wisal ho kuchh ho Hum haiN aur us ki yaadgaari hai Ameensadik (11 years ago) Khud pr bharosey ka hunar seekh lo Loag Kitne bhi sachy hoon sath chor jaye hain Ameensadik (11 years ago) Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai Magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hai Main tujhse dur kaisa hun,tu mujhse dur kaisi hai? Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aansu hai Jo tu samjhe to moti, jo na samjhe toh paani hai Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta Yeh aasu pyaar ka moti hai isko kho nahi sakta Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama Humare dil mein koi khwaab pal baitha to hungama Abhi tak doob kar sunte the sab qissa mohobbat ka Main qisse ko haqeeqat mein badal baitha to hungama Bohat bikhra bahut toota thapere seh nahi paaya Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka qissa Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain Ameensadik (11 years ago) Bholay Hain Rafta Rafta Unhain Mudaton Main Hum.....!!!! Qiston Main Khudkushi Ka Maza hum Se Puchiye........!!!! Ameensadik (11 years ago) Kia hoti hai pehchan Itna kaafi nahi hun insaan Jab jud jaate hai dil se dil Ungli kyon karta hai shaitan Rishta ek din ka,ya barso ka Hum us pe luta de apni jaan Hoti rahe baatein ya na ho Khamoshi ki bhi hoti hai ek zuban Mujhe jo kehna hai kehte raho Har Rishte ka lekin hota hai maan woh kahawat toh sab ne suni hai Give respect and take samman Ameensadik (11 years ago) Fizao se uljh kar ek haseen ye raaz jaana hai...... Jise Kehte hai Mohhabat wo Nasha Katilana hai.........;'( | |