To sign my guestbook, you need to signin first. | |
Priya4u83 GuestbookHaroon9 (13 years ago) Main Ne Yeh Soch Ker Tasbhi He Tor Di Faraz…..! Kia Gin Gin Ker Mango Us Se Jo Behisab Deta Hai….. = Haseen Yadoon K Kuch MauSaM Ussey Arsaal Krney Hein FARAZ! SuNa Hai Shub Ko Tanhai Ussey Soney Nahi Deti.~! = Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur Bikhar Gaya Faraz Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath … = Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe Faraz Chal Diye Usi Mitti Main Jis Ki Hum Amanat Thay … = Bin Maange Hi Mil Jati Hyn Taabeerai’n Kisi Ko Faraz Koi Khaali Haath Reh Jata Hy Hazaro’n Duao’n K Baad = Dil K Rishto’n Ki Nazaka wo Kia Janey‘Faraz’ Naram Lafzo’n Se Bhi Lag Jati Hyn Chotai’n Aksar = Us Ne Mujhe Chhor Dia To Kia Hua Faraz… Meine B To Chora Tha Sara Zamana Us K Liye… = Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar, Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aagaye, Chor k dunya ko madhosh huye thy hum, Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye, Na janay kis se pucha hai wafa na pata mera, Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye, Hum to andhere main sonay k aadi they, Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye. Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz! Mar gaye hain to ab qabar pe aansu = Very Last Ghazal Of Ahmed Faraz Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi = Wo Dhoondte Rahay Hame Idhar Udhar Shayad Unhe Hamari Taalash thi, FARAZ Par Afsoos Jis Qabar ParThay Qadam Unk Usi Mein Humari Laash Thi = main simtnay k liye hr bar tum se milta hon fraz …. tum se milta hon to kuch or bikhar jata hon = ‘Taash Ke Paton ki Manind hai Zindage Meri.. ~.FARAZ .~ ‘Jis Kisi ne bhi Khela Taqseem Kar Diya Mujhey..! = Funny Urdu, Pushto Or Chinese Sher K Baad Ab Ek Hindi Sher Chintit Hun Ma K Is Prem Ma Kitni Durghatna Hy FARAZ. Is Chinta Ki Vivastha Liay Ma Suargvasi Ho Chala = Barae Meh | |