To sign my guestbook, you need to signin first. | |
heena1999 GuestbookAlice1701 (12 years ago) Tum nahi ho tu shaam hotay he Ake saaya sa sar jhukayay huvay Sheher ki bay-charaagh galiyon main Chupkay chupkay say nikal jaata hay Haath main ik sharaab ki botel (dil magar kuch tu behel jaata hay) Jub chalay sard hava ka jhonka Chaltay chaltay theher sa jaata hay Apni aankhon ko neem-waa kar k Haath uthata hay is tarha jaisay Yak nafas, zulf uri ho koi… Is ne dheeray say sanwara jaisay Kabhi is ote main khambay k kareeb Kabhi us chowk nazar aata hay Larkharatay huvay qadmon k nishan Is taraf bhe hain us taraf ko bhe Jaanay kis simt gaya hay saya… Koi jaanay tu bhala ku jaanay? Rang-o-khushbu ki haseen dunya main Kon saayay ko magar pehchanay? Kitna pathar sa hay chehra is ka Haan magar aankh kuch bheegi bheegi Kitnay ujray huvay hain lub is k Aankh jaisay kabhi barsi he nahi Gum hay cigarette k dhuvain main jaisay Zindagi ! saath ko tarsi he nahi Khushk patay, ye hawain ye khazan Teray aanay ki umeedon ka jahan Shub k seenay pay ubhar aata hay Or ye saaya bhe andheron ki tarha Subah hotay he bikhar jata hay Tum nahi ho tu kis qadar veeran Har gali hum ko nazar aatee hay Jaisay ba-waqt-e-naz’a aankhon main (ba-waqt-e-naz'a = marnay ka waqt) Maut, dheeray say theher jatee hay *--------------------------------------------* kisi kay pyaar main likhay huvay geeton k gulaab aaj baazaar main biktay hain, khareeday ga koi? *--------------------------------------------* Alice1701 (12 years ago) Ik dewaana, ik deewani, rehte hain alag, lekin ik hi hai kahaani, mohabbat hai in dono ko, lekin kaam na ayee aj bhi jawaani, milna chahe dono lekin, duniya ke zanjishon mein phase hue, panchi ki tarhan udna chahe yeh, hava ke ik jharonke se, yaad karte hain dono lekin, bina ik dusre ko dekhe hue, khuda ke dargaah mein baithe hain aj haath jode hue, ki ik dafa mila de khuda, aj zamaane ko rok de, dil to mil chuke hai, nazron ko bhi mila de, sapno mein usko dekha hai, aj soorat bhi dikha de, dil nahi samajhta lekin, gharvaalon ko samjha de, ik baar usse mila de, ik baar usse mila de, har baar ye dua karte lekin, mulaaqat na hui kabhi bhi, talaash rahe hain ik dooje ko dono abhi bhi, dar hai inhe ik hi, ki mil paaenge ye kabhi bhi, jawaani to dhal gayee thi, ab to maut bhi le gayee hume, is janam to na mili, ab agle janam ka intezaar hai, ye saat janmo ka bandhan nahi, ye sau janmo ka pyaar hai. | |